Aankhon mein jal raha hai pa bujhta nahin dhuan

āñkhoñ meñ jal rahā hai pa bujhtā nahīñ dhuāñ
uThtā to hai ghaTā barastā nahīñ dhuāñ
palkoñ ke Dhāñpne se bhī ruktā nahīñ dhuāñ
kitnī uñDelīñ āñkheñ pa bujhtā nahīñ dhuāñ
āñkhoñ se āñsuoñ ke marāsim purāne haiñ
mehmāñ ye ghar meñ aa.eñ to chubhtā nahīñ dhuāñ
chūlhe nahīñ jalā.e ki bastī jal ga.ī
kuchh roz ho ga.e haiñ ab uThtā nahīñ dhuāñ
kaalī lakīreñ khīñch rahā hai fazāoñ meñ
baurā gayā hai muñh se kyuuñ khultā nahīñ dhuāñ
āñkhoñ ke pochhne se lagā aag pata
yuuñ chehra pher lene se chhuptā nahīñ dhuāñ
chiñgārī ik aTak ga.ī mere siine meñ
thoḌā aa ke phūñk do uḌtā nahīñ dhuāñ

Gulzar.