Meri Dastan 

Mera Sab bura bhi kehna,
Par aacha bhi sab batana.
Mai jau duniya se toh sabko
Meri dastaan sunana.
yeh bhi Batana Ki kaise
samandar jeetne se pehle,
Mai Na jaane kitni choti-choti
nadiyon se hazaaron bar haara tha.
Woh ghar Woh zameen deekhana,
Koi magrur bhi kahega toh tum
Usko shuruwat meri batana.
Batana safar ki dushwariya mere,
Taki koi jo Meri jaisi zameen se aaye
Uske liye nadi ki haar choti hi rahe.
Samsndar jeetne ka khawab
Uske dil aur dimag se na jaaye.
Par unse meri galatiya bhi mat chupana.
Koi poche toh bata dena ki
Mai kiss darje ka nakara tha.
Keh dena ki jhoota tha mai,
Batana ki kaise
zarurat par kaam na aa saka.
Wade kiye par nibha na saka.
Intqaam saare poore kiye
par ishq adhura rehne diya.
Bata dena sabko ki,
mai matlabi bada tha.
Har bade mukaam pe
tanha hi mai khada tha.
Mera Sab bura bhi kehna,
Par aacha bhi sab batana.
Mai jau duniya se toh sabko
Meri dastaan sunana.